Saturday 2 August 2014

Har ek aawaaz urdu ko fariyaadi batati hai....

Har ek aawaaz urdu ko fariyaadi batati hai,
ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai

kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai,
jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain
wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hai

abhi tak ye ilaaka hai rawadaari ke kabze mein,
abhi firka parasti kam hai aabaadi batati hai

yahan veeraniyon ki ek muddat se hukumat hai,
yahan se nafrate guzri hain barbaadi batati hai

lahoo kaise bahaya jaaye ye leader batate hain,
lahoo ka zayqa kaisa hai ye khaadi batati hai

gulaami ne abhi tak mulk ka peechha nahi chhoda,
hame phir qaid hona hai ye aazaadi batati hai

Gareebi kyun hamare shehar se bahar nahi jaati,
ameer-e-shehar ke ghar ki har ek shaadi batati hai

main un aankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha,
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai...

No comments:

Post a Comment